Thursday, August 12, 2010

Kalpanao ke khel mein-Commonwealth games 2010



Kalpanao ke khel mein

Rajnetao ki panah mein, afsaro ke vesh mein
Aam aadmi ke aah ko , aayojan ke race mein
Jhok diya rakshon ne , kadodo ko khel mein
Aur Jab wealth ho gaya common se bahut dur
To lag gay ek doosre par lipapoti ki ralem pel mein,
Yeh hai kahani aaz ki game ki, jab aason pochne
Ke liye bhi karne padte hai
4000 rupeye ke tissue paper kharch
Aason phir bhi rukte nahin is Rashtra ke
Kyon ki use maloom hai ki
Yeh kahani hai nahin aaz ki
Sadion purani hai yeh daastan
Jisme sirf plot badal jaata hai
Aur patra naye hote hai ,
Par script wahi rehta hai,
Jaise ki purani Botal mein nayi sharab
Jise pilyai jaati hai janta ko
Isliye Janta soti rahe pee kar tull
Aur bhrashtachar hoti rahe full
Jai Ho hamare neta gano ke guno ki
Jo sangeet baza de bina dhuno ki
Aur phir bole – Aall is well
Kyonki yeh chitra katha
Ya bole to media gatha
Poornatah kalpanik hai
Aur iska uske charitra se
Kadodo milon ka faasla hai
Par koi kitna bhi nakare
Humlog jaan chuke hai ki
Its not Aall is well par it’s All in well
Jo itni gehri aur kaali hai
Ki kitni bhi roshni karo
Aur neeche rassian daalo
Phir bhi na pahunch paoge
Uski tah tak , kyonki
Tum bhul gaye ho ki
Yeh kalpana hai,
Aur kalpana jeevit rehti hai ,
Uska aanth nahin hota….